maqtal se jab guzar ke harifana aaiye
ek dasht-e-be-kanar mein phir ghar banaiye
tarik ho na pae kabhi daman-e-falak
palkon se ta-ba-subh sitare jalaiye
hone na pae phulon ka muhtaj gulistan
dil ke hazar zaKHm hamesha khilaiye
chehron ko qaid se hue aazad gar kabhi
bikhre hue wajud ko kaise bachaiye
sahil na de saka hai sahaara to kya hua
gardab ko asir-e-safina banaiye
Ghazal
Maqtal se jab guzar ke harifana aaiye
Parvin Sheer