maqtal mein apni maut ka arman liye hue
hum ja rahe hain zist ka saman liye hue
aata hai koi dard ka darman liye hue
ai baKHt jag gardish-e-dauran liye hue
ai waqt aaj phir se inhen tar-tar kar
baiThe hain hum bhi jaib-o-gareban liye hue
nikle hain ashk zabt ke daman ko chir kar
pahlu mein apne shorish-e-tufan liye hue
bujh jaen phir na gor-e-ghariban ke ye charagh
KHauf-e-hawa se hain tah-e-daman liye hue
jata hai kya harif su-e-ku-e-dost phir
dam-e-hawas mein dana-e-pinhan liye hue
KHa li shikast fath-e-mubin ke yaqin se
han 'nur' ab ke himmat-e-mardan liye hue
Ghazal
Maqtal mein apni maut ka arman liye hue
Noor Mohammad Noor