maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle
hum to KHushbu ki tarah nikle jidhar se nikle
gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai
shahr jalta raha aur log na ghar se nikle
jaane wo kaun si manzil thi mohabbat ki jahan
mere aansu bhi tere dida-e-tar se nikle
dar-ba-dari ka hamein tana na de ai chashm-e-ghazal
dekh wo KHwab ki jis ke liye ghar se nikle
mera rahzan hua kya kya na pasheman ki jab
is ke name mere asbab-e-safar se nikle
bar-sar-e-dosh rahe ya sar-e-neza ya-rab
haq-parasti ka na sauda kabhi sar se nikle
Ghazal
Maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle
Ummeed Fazli