اردو हिंदी
Maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe | Shaahi Shayari
maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe

Ghazal

Maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe

Meer Mohammadi Bedar

;

maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe
hain chashm-o-dil ghar us ke jahan chahe wan rahe

misl-e-nigah ghar se na bahar rakha qadam
phir aae har taraf ye jahan ke tahan rahe

ne but-kada se kaam na matlab haram se tha
mahw-e-KHayal-e-yar rahe hum jahan rahe

jis ke ki ho naqab se bahar shua-e-husn
wo ru-e-aftab KHajil kab nihan rahe

aae to ho pa dil ko tasalli ho tab mere
itna kaho ki aaj na jawenge han rahe

hasti hi mein hai sair-e-adam us ko yan jise
fikr-e-miyan-e-yar o KHayal-e-dahan rahe

ghibat hi mein hai us ki hamara zuhur yan
wo jalwa-gar jab aage hua hum kahan rahe

'bedar' zulf khinche idhar chashm-e-yar udhar
hairan hai dil kahan na rahe kis ke han rahe