اردو हिंदी
Manzilon usko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi | Shaahi Shayari
manzilon usko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi

Ghazal

Manzilon usko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi

Tab Aslam

;

manzilon us ko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi
daman-e-shab mein koi sitara na tha shama koi sar-e-rahguzar bhi na thi

ek bagula uTha dasht mein kho gaya ek kiran thi jo zulmat mein gum ho gai
zindagi jis ko samjhe the hum zindagi zindagi misl-e-raqs-e-sharar bhi na thi

fasl-e-gul se tha aabaad sehn-e-chaman fasl-e-gul jo gai raunaqen luT gain
yun KHamoshi se sham-e-KHizan aaegi ahl-e-gulshan ko is ki KHabar bhi na thi

is tarah manzil-e-arzu kaT gai is tarah ye ghani tirgi chhaT gai
apne panw pe yaro KHarashen to kya apne chehre pe gard-e-safar bhi na thi

phir se aankhon ke saghar chhalakne lage mauj-dar-mauj aansu nikalne lage
'tab' ghar mein wo mehman phir aa gaya jis ke aane ki koi KHabar bhi na thi