manzilen aain to raste kho gae
aabgine the ki patthar ho gae
be-gunahi zulmaton mein qaid thi
dagh phir kis ke samundar dho gae
umr bhar kaTenge faslen KHun ki
zaKHm dil mein bij aisa bo gae
dekh kar insan ki bechaargi
sham se pahle parinde so gae
an-ginat yaaden mere hamrah thin
hum hi 'zarrin' darmiyan mein kho gae
Ghazal
Manzilen aain to raste kho gae
Iffat Zarrin