manzil mile na koi bhi rasta dikhai de
duniya faqat ye khel tamasha dikhai de
rishton ka ek hujum tha main DhunDhti rahi
hasrat liye hue koi apna dikhai de
mujh ko miTa de is tarah duniya se ai KHuda
tariKH mein bhi koi na mujh sa dikhai de
us ne jalaya mere nasheman ko phir kaha
hadd-e-nigah tak tujhe sahra dikhai de
ye zindagi ki bazigari tu bhi sikh le
kar kar ke qatl tu bhi masiha dikhai de
rishton ka KHol oDh ke milte hain log aaj
har aadmi mujhe yahan tanha dikhai de
karta rahe junun ye taaqub sarab ka
pyase ko KHwab mein abhi dariya dikhai de
ai 'shama' kis ne di thi tujhe aisi bad-dua
ghar mein koi charagh na jalta dikhai de
Ghazal
Manzil mile na koi bhi rasta dikhai de
Syeda Nafis Bano shama