manzil-e-be-nishan se kya hasil
gum-shuda karwan se kya hasil
tang hoti zamin ka TukDa de
wusat-e-asman se kya hasil
kya karen jab ki bujh gain aankhen
raunq-e-be-karan se kya hasil
dad-KHwahi ka haq bhi chhin liya
ab ki dar-ul-aman se kya hasil
lams rishton ka paen diwaren
ghar ata kar makan se kya hasil
luT gain jab meri mata-e-hayat
daulat-e-digaran se kya hasil
nazr kar 'zauq' sa fasih suKHan
aisi kaj-maj zaban se kya hasil

Ghazal
Manzil-e-be-nishan se kya hasil
Sabir Shah Sabir