اردو हिंदी
Manzar ko kisi tarah badalne ki dua de | Shaahi Shayari
manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

Ghazal

Manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

Sheen Kaaf Nizam

;

manzar ko kisi tarah badalne ki dua de
de raat ki ThanDak ko pighalne ki dua de

ai saat-e-viran ke be-KHwab farishte
ab chiKH ko sine se nikalne ki dua de

patte ko parindon ki panahon pe laga de
peDon ko yahan phulne phalne ki dua de

paDh aisa wazifa ki ye kohsar na ujDe
chashmon ko pahaDon se ubalne ki dua de

ab toD takanon ke takalluf se talluq
pazhmurda tabiat ko phisalne ki dua de

aafaq ki diwaron ki aaghosh ko wa kar
ab matla-e-maujud ko khulne ki dua de

hum bhul hi jaen na kisi shakl-e-sahar ko
ab shab ko kisi taur se Dhalne ki dua de