اردو हिंदी
Man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai | Shaahi Shayari
man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai

Ghazal

Man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai

Moni Gopal Tapish

;

man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai
ye chahakta hua viran sa ghar kaisa hai

mera mazi jahan bikhra sa paDa hai har su
ab wo pipal ke tale ujDa khanDar kaisa hai

saKHt pathraw tha kal raat teri basti mein
din nikalne pe ye dekhenge ki sar kaisa hai

jaan dena hai hamein ek shiwale ke qarib
aap batlaen zara aap ka dar kaisa hai

dil ke madfan mein 'tapish' dafn hai ehsas ka jism
tum ne chhoDa jise dekho wo nagar kaisa hai