اردو हिंदी
Maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai | Shaahi Shayari
maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

Ghazal

Maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

Meer Mohammadi Bedar

;

maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai
har tifl ke yan ashk se aaluda waraq hai

hun muntazir us mahr ke aane hi ka warna
shabnam ki tarah aankhon mein dam koi ramaq hai

dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein KHandan
shabnam nahin ye gul pe KHajalat se araq hai

wo chand sa munh surKH dupaTTa mein hai raKHshan
ya mahr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai

nargis ki zar-o-gul pe bhi wa chashm-e-tama hai
is par ki zar-o-sim ka us pas tabaq hai

dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya
kahte hain jo kuchh yar mujhe waqai haq hai

juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein
jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai

mazkur hua yan magar us gul ke dahan ka
jo rashk se har ghuncha ka dil bagh mein shaq hai

kar masqala-e-zikr se dil saf tu apna
'bedar' ye aaina tajalli-gah-e-haq hai