makanon ke nagar mein hum agar kuchh ghar bana lete
to apni bastiyon ko sowarg se baDh kar bana lete
hamein apne ilaqon se mohabbat ho nahin pai
wagarna zindagi ko aur bhi behtar bana lete
samay se laD rahe the aur lamhe kar diye barbaad
hamein karna ye tha lamhat ka lashkar bana lete
ghanimat hai ki jangal ke usulon ko nahin mana
wagarna aashiyanon ko ajaib-ghar bana lete
agar sauda hi karna tha use to bol to deta
mohabbat ke liye hum dil ko bhi daftar bana lete
hawas hairan na kar pati talab tanha na kar pati
agar hum hasraton ko pyar ka sagar bana lete
kahin aisa jo ho pata ki laDte hi nahin hum tum
bahut mumkin tha har kankar ko shiw-shankar bana lete
Ghazal
Makanon ke nagar mein hum agar kuchh ghar bana lete
Navin C. Chaturvedi