makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai
kahin aa jao mujh ko har jahan nazdik paDta hai
jahan tum ho wahan se dur paDti hai zamin meri
jahan main hun wahan se aasman nazdik paDta hai
suna hai ek jahan-e-be-nihayat ho magar phir bhi
ye tai hai be-karan ko be-karan nazdik paDta hai
chale aate hain hum ek dusre ki samt mein warna
tumhein sahra mujhe dariya kahan nazdik paDta hai
nae alfaz rakh kar dekhta hun kuchh puranon mein
maani se mera rishta kahan nazdik paDta hai
bala ki dhup hai dasht-e-talab mein ai dil-e-nadan
yahan kis aarzu ka saeban nazdik paDta hai
Ghazal
Makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai
Khaavar Ejaz