majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
wo KHak uData hai lekin nahin dil maila
ghul-shor kahan ka hai sun to sahi o zalim
kya hai tere kucha mein kaisa hai ye wawaila
ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein
hum daur chalate hain saqi se kaho mai la
hum hain to na rakhenge itna tujhe afsurda
chal naghma-e-'natiq' sun sahra-e-junun nai la
Ghazal
Majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
Natiq Gulavthi