اردو हिंदी
Main wo majnun ki ek sahra hai mujh mein | Shaahi Shayari
main wo majnun ki ek sahra hai mujh mein

Ghazal

Main wo majnun ki ek sahra hai mujh mein

Ishaq Veerdag

;

main wo majnun ki ek sahra hai mujh mein
wo sahra bhi bahut simTa hai mujh mein

mujhe KHud se nikalega wo aaKHir
ba-nam-e-ishq jo aaya hai mujh mein

tumhaari yaad ko kaise nikalun
ki baqi kuchh nahin bachta hai mujh mein

kisi ke barf se lahje ke hathon
ajab shoala sa ek bhaDka hai mujh mein

koi tawiz ka pani pila do
koi jadugari karta hai mujh mein

kamini ko KHabar is ki nahin hai
ki sar se panw tak dhoka hai mujh mein

tumhaare baad ye dekha nahin hai
na-jaane kaun ab rahta hai mujh mein

tumhein meri zarurat bhi paDegi
purane shahr ka naqsha hai mujh mein

tumhaari samt hijrat kar chuka hai
kahan 'ishaq' ab rahta hai mujh mein