main wo majnun hun ki aabaad na ujDa samjhun
musht-e-KHak apni uDa kar use sahra samjhun
is qadar mahw hun in shola-ruKHon ka jun shama
ki na jalne ko pahchanun na tamasha samjhun
chashmak-e-yar hain mujh shama ke haq mein gul-gir
dam ye qainchi ke main anfas-e-masiha samjhun
gardish-e-chashm-e-sajan le gaya KHatir se ghubar
us ko dasht-e-dil-e-'uzlat' ka bagula samjhun

Ghazal
Main wo majnun hun ki aabaad na ujDa samjhun
Wali Uzlat