main us ki mohabbat se ek din bhi mukar jata
kuchh aur nahin hota is dil se utar jata
jis sham giraftari qismat mein meri aai
us sham ki lazzat se main aur bikhar jata
KHushbu ke taaqub ne zanjir kiya mujh ko
warna to yahan se main chup-chap guzar jata
aawaz samaat tak pahunchi hi nahin shayad
wo warna tasalli ko kuchh der Thahar jata
zehnon ke marasim the ek sath bhi ho jate
ek rah agar koi diwar mein kar jata
tasir nahin rahti alfaz ki bandish mein
main sach jo nahin kahta lahje ka asar jata
ab tere bichhaDne se ye baat khuli mujh par
to jaan agar hota main jaan se guzar jata
dil hum ne 'azim' apna aaseb-zada rakkha
jo KHwab janm leta wo KHauf se mar jata
Ghazal
Main uski mohabbat se ek din bhi mukar jata
Tahir Azeem