اردو हिंदी
Main tujhe wah kya tamasha hai | Shaahi Shayari
main tujhe wah kya tamasha hai

Ghazal

Main tujhe wah kya tamasha hai

Meer Asar

;

main tujhe wah kya tamasha hai
zehn mein aashna tarasha hai

hath mein rakhiyo tu sambhaale hue
dil to mera ye sisha-basha hai

tu jo tole hai mere man ki chah
kuchh tere han bhi tola-masha hai

kya kahun teri kawish-e-mizha ne
kis tarah se jigar KHarasha hai

KHair guzre 'asar' tu hai bebak
aur wo shoKH be-tahasha hai