main to saya hun ghaTaon se utarne wala
hai koi pyas ke sahra se guzarne wala
tu samajhta hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
main sahifa hun tere dil pe utarne wala
tu mujhe apni hi aawaz ka paband na kar
main to naghma hun fazaon mein bikharne wala
ai badalte hue mausam ke gurezan paikar
aks de ja koi aankhon mein Thaharne wala
main hun diwar pe likkha hua kab se lekin
koi paDhta nahin raste se guzarne wala
ja raha hai tere honTon ki tamanna le kar
zindagi-bhar teri aawaz pe marne wala
Ghazal
Main to saya hun ghaTaon se utarne wala
Midhat-ul-Akhtar