اردو हिंदी
Main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga | Shaahi Shayari
main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga

Ghazal

Main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga

Mahir Abdul Hayee

;

main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga
saya-e-abr nahin hun ki guzar jaunga

jazba-e-dil ka wo aalam hai to insha-allah
dard ban kar tere pahlu mein utar jaunga

mahz bekar na samjhen mujhe duniya wale
zindagi hai to koi kaam bhi kar jaunga

de ke aawaz to dekhe shab-e-tarik mujhe
raushni ban ke fazaon mein bikhar jaunga

chhoD ai raunaq-e-bazar mera daman-e-dil
sham aangan mein utar aai hai ghar jaunga

main mujahid hun kisi se nahin Darta lekin
samna KHud ka jo ho jae to Dar jaunga

raste saf hain sab fazl-e-KHuda se 'mahir'
koi diwar na rokegi jidhar jaunga