main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta
kya mujh pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
raushan hai isi se mera kashana-e-hasti
is sham-e-mohabbat ko bujha bhi nahin sakta
hai bar-e-samaat use izhaar-e-tamanna
ye haal-e-zabun us ko suna bhi nahin sakta
zinda hai zamir apna abhi, samne us ke
apna sar-e-taslim jhuka bhi nahin sakta
had hoti hai ek naz uThane ki kisi ke
ye bar-e-garan ab main uTha bhi nahin sakta
is haal mein kab tak yunhi ghuT ghuT ke jiyunga
ruTha hai wo aise ki mana bhi nahin sakta
tha ghair jise apna samajhta tha bahi-KHwah
ab mahfil-e-yaran wo saja bhi nahin sakta
nafiz hai zaban-bandi ka dastur abhi tak
kya dil pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
har waqt tasawwur mein hai jo azmat-e-rafta
khoya hua eazaz wo pa bhi nahin sakta
KHwabon mein hasin taj-mahal karta hai tamir
apne liye ek ghar jo bana bhi nahin sakta
kyun nind uData hai wo 'barqi' ki ab us se
wo wada-e-farda jo nibha bhi nahin sakta
Ghazal
Main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta
Ahmad Ali Barqi Azmi