اردو हिंदी
Main sochta hun kahin tu KHafa na ho jae | Shaahi Shayari
main sochta hun kahin tu KHafa na ho jae

Ghazal

Main sochta hun kahin tu KHafa na ho jae

Aslam Farrukhi

;

main sochta hun kahin tu KHafa na ho jae
teri ana meri zanjir-e-pa na ho jae

ye jiti-jagti aankhen ye KHwab si duniya
wufur-e-shauq KHud apni jaza na ho jae

qadam qadam pe bapa jashn-e-imtihan-e-wafa
teri tarah koi dard-ashna na ho jae

na dekh mujh ko mohabbat ki aankh se ai dost
mera wajud mera muddaa na ho jae

main jis ko DhunD raha hun nashat-e-qurbat mein
mere KHayal se bhi mawara na ho jae

zamin ki god se suraj nikalne walo
sitara-e-sahari rahnuma na ho jae

harim-e-jaan mein hai arzan KHumar-e-tira-shabi
ye is dayar ki aab-o-hawa na ho jae

gham-e-firaq mein lazzat sahi magar 'aslam'
meri hayat mera KHun-baha na ho jae