main sirf wo nahin jo nazar aa gaya tujhe
muzhda phir izn-e-bar-e-digar aa gaya tujhe
sahra mein jaan dene ke mauqe to ab bhi hain
wo kya junun tha le ke jo ghar aa gaya tujhe
pahle kabhi to maut ko tujh se gila na tha
jine ka aaj kaise hunar aa gaya tujhe
is daur mein ye faKHr bhi kis ko nasib hai
chehra to aaine mein nazar aa gaya tujhe
is shahr mein to kuchh nahin ruswai ke siwa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe
Ghazal
Main sirf wo nahin jo nazar aa gaya tujhe
Dil Ayubi