main shab-e-hijr kya karun tanha
yaad mein teri gum rahun tanha
hain idhar gardishen zamane ki
hai muqabil udhar junun tanha
kitne be-nur hain ye hangame
main bhare shahr mein bhi hun tanha
aadmi ghir gaya masail mein
rah gai zist be-sukun tanha
wo to is daur ke nahin insan
mil gaya hai jinhen sukun tanha
ham-safar jab 'niyaz' andhere hain
shama ghabra rahi hai kyun tanha
Ghazal
Main shab-e-hijr kya karun tanha
Abdul Mateen Niyaz