main samundar tha mujhe chain se rahne na diya
KHamushi se kabhi dariyaon ne bahne na diya
apne bachpan mein jise sun ke main so jata tha
mere bachchon ne wo qissa mujhe kahne na diya
kuchh tabiat mein thi aawara mizaji shamil
kuchh buzurgon ne bhi ghar mein mujhe rahne na diya
sar-bulandi ne meri shahr-e-shikasta mein kabhi
kisi diwar ko sar par mere Dahne na diya
ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin
main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya
baad mere wahi sardar-e-qabila tha magar
buz-dili ne use ek war bhi sahne na diya
Ghazal
Main samundar tha mujhe chain se rahne na diya
Azhar Inayati