main roun hun rona mujhe bhae hai
kisi ka bhala is mein kya jae hai
dil aae hai phir dil mein dard aae hai
yun hi baat mein baat baDh jae hai
koi der se hath phailae hai
wo na-mehrban aae hai jae hai
mohabbat mein dil jae gar jae hai
jo khoe nahin hai wo kya pae hai
junun sab ishaare mein kah jae hai
magar aql ko kab samajh aae hai
pukarun hun lekin na baz aae hai
ye duniya kahan Dubne jae hai
KHamoshi mein har baat ban jae hai
jo bole hai diwana kahlae hai
qayamat jahan aaegi aaegi
yahan subh aae hai sham aae hai
junun KHatm dar-o-rasan par nahin
ye rasta bahut dur tak jae hai
Ghazal
Main roun hun rona mujhe bhae hai
Kaleem Aajiz