main riwayat hun ek bhuli hui
aur tu jiddaton mein rahta hai
meri aankhen sawal karti hain
kya KHuda manzaron mein rahta hai
saaten raqs kar rahi hain magar
mera dil uljhanon mein rahta hai
parcham-e-jang jhuk gaya lekin
waswasa sa dilon mein rahta hai
go charaghan kiye gae KHeme
par andhera dilon mein rahta hai
aao maujon se puchh kar aaen
chand kin sahilon mein rahta hai

Ghazal
Main riwayat hun ek bhuli hui
Shaista Yusuf