main raat sust anasir se tang aa gaya tha
meri hayat-e-fasurda mein rang aa gaya tha
nagaDe piTe hawaon ne surKH pahron tak
gadhon ka jhunD kabutar ke sang aa gaya tha
sitar bajne lage subh ki masahri par
dhanak ka qafila-e-haft-rang aa gaya tha
falak pe rengte suraj zamin-bos hue
wo shahsawar-e-shafaq bahr-e-jang aa gaya tha
andhere ghaar mein ye kilkilati khopDiyan
inhi ke dekhe raunat pe zang aa gaya tha
mere jahan-e-bala saut-o-harf ke dware
na jaane kaun liye jal-tarang aa gaya tha

Ghazal
Main raat sust anasir se tang aa gaya tha
Osama Zakir