اردو हिंदी
Maine socha hai raat-bhar tumko | Shaahi Shayari
maine socha hai raat-bhar tumko

Ghazal

Maine socha hai raat-bhar tumko

Ambareen Haseeb ambar

;

main ne socha hai raat-bhar tum ko
kash ho jae ye KHabar tum ko

zindagi mein kabhi kisi ko bhi
main ne chaha nahin magar tum ko

jaanti hun ki tum nahin maujud
DhunDhti hai magar nazar tum ko

tum bhi afsos rah-rau nikle
main to samjhi thi ham-safar tum ko

mujh mein ab main nahin rahi baqi
main ne chaha hai is qadar tum ko