main ne kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol
ji uThe lafz to main KHauf se mar jaunga
kaun KHushbu se hawaon ka badan chhinta hai
tu mere sath rahega main jidhar jaunga
reg-e-sahil se rahi apni shanasai to phir
ek din gahre samundar mein utar jaunga
chand-taron ki tarah main bhi hun gardish mein 'rashid'
han agar tu ne pukara to Thahar jaunga

Ghazal
Maine kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol
Rasheed Qaisrani