main ne har gam use awwal o aaKHir jaana
lekin us ne mujhe lamhon ka musafir jaana
main to tha us ke chaman-zar-e-mohabbat ka asir
lekin us ne mujhe har shaKH ka tair jaana
us ne iKHlas ke mare hue diwane ko
ek aawara o badnam sa shaer jaana
dar-haqiqat yahi eazaz bahut hai 'kausar'
do ghaDi us ne hamein apna ba-zahir jaana
Ghazal
Maine har gam use awwal o aaKHir jaana
Kausar Niyazi

