main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal
KHar hain pairahan-e-gul mein sambhal kar rah chal
dur hai mulk-e-adam aur tujh mein dam baqi nahin
ho sake to bas yunhi karwaT badal kar rah chal
talib-e-manzil hai phir uzlat-nashini kis liye
rah-rawon ko dekh le ghar se nikal kar rah chal
ku-e-jaanan mein zamana ho gaya rote hue
ta-kuja dil ka tassuf hath mal kar rah chal
yun rasai ta-sahar mumkin nahin ai dil magar
shama ki surat shab-e-gham mein pighal kar rah chal

Ghazal
Main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal
Saqib Lakhnavi