اردو हिंदी
Main nahin ja paunga yaro su-e-gulzar abhi | Shaahi Shayari
main nahin ja paunga yaro su-e-gulzar abhi

Ghazal

Main nahin ja paunga yaro su-e-gulzar abhi

Habib Tanvir

;

main nahin ja paunga yaro su-e-gulzar abhi
dekhni hai aab-ju-e-zist ki raftar abhi

kar chuka hun par ye dariya na jaane kitni bar
par ye dariya karunga aur kitni bar abhi

ghum phir kar dasht-o-sahra phir wahin le aae panw
dil nahin hai shayad is nazzare se be-zar abhi

kawish-e-paiham abhi ye silsila rukne na pae
jaan abhi aankhon mein hai aur panw mein raftar abhi

ai mere arman-e-dil bas ek zara kuchh aur sabr
raat abhi kaTne ko hai milne ko bhi hai yar abhi

jazba-e-dil dekhna bhaTka na dena rah se
muntazir hoga mera bhi KHud mera dil-dar abhi

hongi to is rah-guzar mein bhi kamin-gahen hazar
phir bhi ye bar-e-safar kyun ho mujhe dushwar abhi