اردو हिंदी
Main nahin hun nahin kahin bhi nahin | Shaahi Shayari
main nahin hun nahin kahin bhi nahin

Ghazal

Main nahin hun nahin kahin bhi nahin

Akram Naqqash

;

main nahin hun nahin kahin bhi nahin
ab koi aasman hai na zamin

ek duniya hui hai zer-e-nagin
shah-nashin ho gaya hai KHak-nashin

ye sukun bhi hua malal ke sath
wo bahar-taur ji raha hai yahin

bar-ha tu ne KHwab dikhlae
bar-ha hum ne kar liya hai yaqin

ek virana tha basa na kabhi
bastiyan hum se go hazar basin

jaise pani pe naqsh ho koi
raunaqen sab adam-sabaat rahin

ghurfa-e-dard kis ne khol diya
tu to ab mere aas-pas nahin