اردو हिंदी
Main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha | Shaahi Shayari
main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha

Ghazal

Main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha

Krishna Kumar Toor

;

main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha
nahin tha mere muqabil jo tu koi bhi na tha

ye ijz-e-zat tha ya irtafa-e-husn-e-nazar
kabhi kabhi to mere chaar su koi bhi na tha

ajib us ki hai mahfil ki us ki mahfil mein
pur-imtiyaz the sab surKH-ru koi bhi na tha

main kya bataun ki us KHak se hun wabasta
zamin-e-dil mein jahan nam numu koi bhi na tha

ye kaisi basti hai warid kahan hua hun jahan
nazir-e-silsila-e-haw-hu koi bhi na tha

chalo chalen ki yaqin o guman ki duniya mein
nafas nafis sabhi dil lahu koi bhi na tha

main KHud hi apne barabar khaDa hua tha 'tur'
bhare jahan mein mera adu koi bhi na tha