main ki KHud apne KHayalat ka zindani hun
teri har baat ko kis tarah gawara kar lun
sahra sahra jo phira karta hai teri KHatir
hae wo shaKHs jise kahti hai duniya majnun
dil ne go lakh ye chaha ki bhula dun tujh ko
yaad ne teri magar aaj bhi mara shab-KHun
kis KHarabe mein hamein lai hai wahshat ki jahan
koi diwar na dar hai na koi baam-o-sutun
aap ghazlen jo kaha karte hain 'nadir'-sahab
kya mila karta hai is tarah bhi kuchh dil ko sakun
Ghazal
Main ki KHud apne KHayalat ka zindani hun
Athar Nadir