main KHud se kis qadar ghabra raha hun
tumhaara nam leta ja raha hun
guzarta hi nahin wo ek lamha
idhar main hun ki bita ja raha hun
zamane aur kuchh din sabr kar le
abhi to KHud se dhoke kha raha hun
baDha de lau zara tanhaiyon ki
shab-e-furqat mein bujhta ja raha hun
isi duniya mein ji lagta tha mera
isi duniya se ab ghabra raha hun
ye nadani nahin to kya hai 'danish'
samajhna tha jise samjha raha hun
Ghazal
Main KHud se kis qadar ghabra raha hun
Madan Mohan Danish