main KHud se dur tha aur mujh se dur tha wo bhi
bahao tez tha aur zad mein aa gaya wo bhi
chhua hi tha ki faza mein bikhar ke phail gaya
meri hi tarah dhuen ki lakir tha wo bhi
ye dekhne ke liye phir palaT na jaun kahin
main gum na ho gaya jab tak khaDa raha wo bhi
abhi to kanTon-bhari jhaDiyon mein aTka hai
kabhi dikhai diya tha hara-bhara wo bhi
bichhaDne wale kisi ke liye nahin rukte
phir aisa waqt bhi aaya bichhaD gaya wo bhi
Ghazal
Main KHud se dur tha aur mujhse dur tha wo bhi
Atiiqullah