main KHud apna lahu pine laga hun
kahan pani kisi se mangta hun
ye duniya aag hai ek aag jis mein
main KHud ko jhonk dena chahta hun
teri KHamoshiyon ke panchhiyon ko
main aawazon ke dane banTta hun
akele-pan ke bihaD jangalon mein
tumhaara nam le kar chiKHta hun
lahakti aag ke tannur mein ab
tumhaari yaad zinda jhonkta hun
main apne-ap se naraaz hun ab
so apne aap ko kam Tokta hun
Ghazal
Main KHud apna lahu pine laga hun
Tripurari