اردو हिंदी
Main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun | Shaahi Shayari
main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun

Ghazal

Main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun

Jurat Qalandar Bakhsh

;

main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun
dekh Tuk aankh chura kar to laga kahne un-hun

sab se hansta tha wo kal, ro ke jo main bol uTha
hum se bhi Tuk tu hansa kar to laga kahne un-hun

main kaha dil ko main le jaun to bola wo ki hun
le chala jab main uTha kar to laga kahne un-hun

main kaha sabr o dil o din ne wafa hum se na ki
be-wafa tu to wafa kar to laga kahne un-hun

main kaha jam-e-mai pite ho to bola wo ki hun
jab kaha laun chhupa kar to laga kahne un-hun

main kaha sohbat-e-aghyar bari hai pyare
un se itna na mila kar to laga kahne un-hun

main kaha ishq ko izhaar karun bola hun
jab kaha kahta hun ja kar to laga kahne un-hun

main kaha samjhe hai aazar mera bola hun
jab kaha kuchh to dawa kar to laga kahne un-hun

main kaha ab teri duri se hai 'jurat' be-tab
kuchh to kah pas bala kar to laga kahne un-hun