main jis ka muntazir hun wo manzar pukar le
shayad nikal ke jism se bahar pukar le
main le raha hun jaeza har ek lahar ka
kya jaane kab ye mujh ko samundar pukar le
sadiyon ke darmiyan hun main bhi to ek sadi
ek bar mujh ko apna samajh kar pukar le
main phir raha hun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aawaz de ke mujh ko mera ghar pukar le
shishe ki tarah waqt ke hathon mein hun hanuz
kab jaane hadsat ka patthar pukar le
wo lamha jis ki zehn-e-'saba' ko talash hai
rone ke ehtimam mein hans kar pukar le
Ghazal
Main jis ka muntazir hun wo manzar pukar le
Aleem Saba Navedi