اردو हिंदी
Main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai | Shaahi Shayari
main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai

Ghazal

Main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai

Fazil Jamili

;

main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai
mere badan ke kafan mein ye lash kis ki hai

tujhe KHayal mein la kar gul-o-nujum ke sath
ye dekhna hai ki achchhi tarash kis ki hai

KHayal-o-KHwab ki galiyon mein bhi hai virani
meri udas nazar ko talash kis ki hai

tumhaara kaam nahin to phir intizam hai kya
dil-o-jigar pe ye ek ek KHarash kis ki hai

jo aap apni hi pasmandagi pe naz kare
main KHud nahin to ye tarz-e-maash kis ki hai