main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke
wo charagh bujh gae hain meri umr-e-jawedan ke
na ye lala-zar apne na ye rahguzar apni
wahi ghar zamin ke niche wahi KHwab aasman ke
ye piyala hai ki dil hai ye sharab hai ki jaan hai
ye daraKHt hain ki sae kisi dast-e-mehrban ke
mujhe yaad aa rahe hain wo charagh jin ke sae
kabhi doston ke chehre kabhi dagh raftagan ke
Ghazal
Main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke
Qamar Jameel

