main janam janam ka anis hun kisi taur dil mein basa mujhe
koi ranj hai to gamin na ho koi dagh hai to dikha mujhe
ye tamam sabza-e-ab-ju ye tamam KHema-e-rang-o-bu
tere jis KHayal ka aks hain wo KHayal kar de ata mujhe
jinhen harf-e-jaan ki KHabar nahin wo paDhane aae kitab-e-jaan
jinhen koi ilm-e-wafa na tha wo sikhane aae wafa mujhe
main niyaz-mand-e-junun sahi mujhe aql se bhi hai wasta
kisi KHwab ki na jhalak dikha tere pas kya hai dikha mujhe
teri guftugu se guman hua koi baat meri bhali lagi
main 'naim' hun ki 'hasan' hun ab yahi baat pahle bata mujhe
Ghazal
Main janam janam ka anis hun kisi taur dil mein basa mujhe
Hasan Nayeem