main jab bhi talib-e-namus hone lagta hun
nae libason mein malbus hone lagta hun
dikhane lagta hai wo KHwab aasmanon ke
zamin se jab bhi main manus hone lagta hun
jalaya jis ne mera ghar usi diye ke liye
hawa chale to main fanus hone lagta hun
uchhaal deta hai patthar wo Thahre pani mein
main pur-sukun jo mahsus hone lagta hun
ye kis ki pyas ki KHatir kabhi kabhi 'jawed'
main ek qatre se qamus hone lagta hun
Ghazal
Main jab bhi talib-e-namus hone lagta hun
Javed Naseemi