main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha
bichhaD gaya jo main us se qusur mera tha
jo panw aae the ghar tak mere wo us ke the
wo dil baDha tha jo us ke huzur mera tha
baDa ghurur tha donon ko ham-nawai par
nigah us ki thi lekin surur mera tha
wo aankh meri thi jo us ke samne nam thi
KHamosh wo tha ki yaum-e-nushur mera tha
kaha ye sab ne ki jo war the usi par the
magar ye kya ki badan chur chur mera tha
Ghazal
Main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha
Mazhar Imam