main jaanta hun KHushamad-pasand kitna hai
ye aasman zamin se buland kitna hai
tamam rasm uTha li gai mohabbat mein
dilon ke bich magar qaid-o-band kitna hai
jo dekhta hai wahi bolta hai logon se
ye aaina bhi haqiqat-pasand kitna hai
tamam raat mere sath jagta hai koi
wo ajnabi hai magar dard-mand kitna hai
main us ke bare mein akasr ye sochta hun 'shakil'
khula hua hai wo itna to band kitna hai
Ghazal
Main jaanta hun KHushamad-pasand kitna hai
Shakeel Azmi

