اردو हिंदी
Main hawa hun kahan watan mera | Shaahi Shayari
main hawa hun kahan watan mera

Ghazal

Main hawa hun kahan watan mera

Ameeq Hanafi

;

main hawa hun kahan watan mera
dasht mera na ye chaman mera

main ki har chand ek KHana-nashin
anjuman anjuman suKHan mera

barg-e-gul par charagh sa kya hai
chhu gaya tha use dahan mera

main ki TuTa hua sitara hun
kya bigaDegi anjuman mera

har ghaDi ek naya taqaza hai
dard-e-sar ban gaya badan mera