main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
ye raaz khul gaya to mera chehra zard tha
achchha hua ki aap ne daman jhaTak diya
mera wajud aap ke daman pe gard tha
KHud apni zat ke na kisi kaam aa sake
wo log jin ke dil mein zamane ka dard tha
kitne uruj par thi meri shiddat-e-talab
tum mil gae to shauq ka har jazba sard tha
tanhaiyon mein jis ke bane raazdar tum
goya wo main na tha koi aawara-gard tha

Ghazal
Main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
Aish Barni