main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar
bikhar ke rah gaya rahon ki dastan ban kar
main KHud mein gunjta hun ban ke tera sannaTa
mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar
main apne aap ka wo shor tha tujhe pa kar
tujhe Dara diya aawaz-e-be-aman ban kar
har ek shaKHs hai afwah aap hi apni
har ek ko jaanta hai har koi guman ban kar
tamam samten palaTti si jaan paDti hain
pahunch raha hun kahan dard-e-la-makan ban kar
ye kis ko DhunD raha hun main ek arse se
KHud apna hi koi bhaTka hua nishan ban kar
jo KHud the apni sada ka yaqin wahi to hain hum
pahaD jaise koi uD gaya dhuan ban kar
tu kar ke radd mujhe KHud ko zara qubul to kar
khaDa hun tere liye ek imtihan ban kar
KHud apni baat ka dukh ban ke rah na ja ai 'talKH'
har ek dil mein sama ja gham-e-jahan ban kar
Ghazal
Main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar
Manmohan Talkh